Zindagi ko jo dekhna ho agar ,
to mere ghar p aaiyega kabhi
Mere ghar ki darodeewar p bhi,
dard ki silwatein milengi tumhe
Aur kone mein rakhe chulhe par,
khali bartan sulag raha hoga
Meri maan ki thaki thaki aankhen ,
mere raste p hi lagi hongi
kadi mehnat ke baad beta mera,
kuchh to khane ko laa raha hoga
Zindagi ko jo dekhna ho agar ,
to mere ghar p aaiyega kabhi.
Muztarib dil ki baat kyaa kahiye
Fir na hogi ye raat, kyaa kahiye
Aaj sahra bhi hai gulshan jaisa
Gulo'n ki hai baraat kyaa kahiye
Aa ke baithe hain teri mehfil mein
Kaisi guzregi raat, kyaa kahiye
Shah bhi apni hai maat bhi apni
kaisi hai ye bisaat kyaa kahiye
Tere aane se barh gayee raunak
Khili hai kaaynaat, Kyaa kahiye.